Real Leather vs Fake Leather: 5 Easy Tests Everyone Should Know
Kya aap ne kabhi mehnga wallet ya belt khareeda aur 2 mahine baad wo phat gaya?
90% chance hai wo genuine leather nahi tha.
Pakistan mein market fake leather se bhari hai. Paisa zaya na karein.
Ghar bethay in 5 asaan tests se asli aur nakli leather pehchanein:
1. Smell Test - Asli Leather ki Khushbu
Asli leather ki smell natural, mitti jaisi aur halki hoti hai.
Fake leather/Pu plastic ya chemical ki tez smell deta hai.
2. Water Drop Test
Leather par pani ka 1 qatra dalen.
Asli leather: Pani ko dheere dheere absorb karega aur thora dark ho jayega.
Fake leather: Pani ka qatra upar hi gol gol ghoomta rahega.
3. Edge & Texture Test
Asli leather: Edges rough aur natural hote hain. Surface par pores nazar aayenge.
Fake leather: Edges bilkul smooth plastic jaisay. Surface ek jaisa hota hai.
4. Scratch Test
Nakhun se halka sa kharachen.
Asli leather: Nishan ban kar kuch dair mein khatam ho jata hai.
Fake leather: Safed line ban jati hai jo nahi jati.
5. Price & Burn Test
Agar price bohat kam hai to samajh jao fake hai.
Asli leather aag ke qareeb karne par jalne ki bajaye sikarta hai. Fake plastic ki tarah pighalta hai.
Genuine Leather Kahan Se Khareedein?
Sialkot Pakistan leather ka hub hai. YES LEATHER STUDIO par aapko 100% Genuine Cow Leather products milte hain, handcrafted aur COD ke sath.

